Shabe Qadr | Laylatul Qadr | The Night of Decree Ki Fazilat Quran Wa Hadees Ki Roshni Mein - News and updates

Shabe Qadr | Laylatul Qadr | The Night of Decree Ki Fazilat Quran Wa Hadees Ki Roshni Mein

Shabe Qadr | Laylatul Qadr | The Night of Decree Ki Fazilat Quran Wa Hadees Ki Roshni Mein

  • ALLAH Rabbul Aalameen Qur'an-E-Kareem Me Ishard Farmata Hai "Beshaq ! Ise Hamne Shabe Qadr Me Utara Aur Tumne Kya Jaana Kya Shabe Qadr. Shabe Qadr Hazaar (1000) Mahino Se Behtar. Usme Farishte Aur Jibrail Utarte Hai. Apne Rab Ke Huqm Se Har Kaam Ke Liye. Wah Salaamati Hai Subah Chamakne Tak."
    - (Surah Qadr, Para 30, Aayat 1-5, Tarzuma: Kanzul Imaan)
  • Haa ! Meem ! Kasam Us Roshan Kitab Ki. Beshaq Humne Use Barkatwali Raat Me Utara. Beshaq ! Haan Dar Sunanewale Hai. Tumhare Rab Ki Tarafse Rehmat Beshaq Wahi Sunta Janta Hai.
    - (Surah Dukhan, Para 25, Aayat 1-6, Tarzuma: Kanzul Imaan)
  • Yeh Woh Raat Hai Jisme ALLAH (Subhanahu Wa Ta'ala) Ne Poore Qur’an Ko Al Lawh al Mahfuz Se Baytul Izzah Jo Pehle Aasman Par Hai Waha Utara.
  • Is Raat Mein Kiye Jaane Wali Ibaadat, Achche Aamaal, 1000 Mahino  Mein Kiye Gaye Achche Aamaal Ke Barabar Hai.
  • 1000 Mahine = 83 Saal Aur 4 Maah (Mahine). Hamari Average Zindagi 60 Se 70 Saal Ki Hai.Yaani Is Raat Mein Kiye Gaye Ibaadat Ke Sawaab, 83 Saal Aur 4 Maah Mein Kiye Gaye Ibaadat Ke Barabar Hai.ALLAH Hume Poori Zindagi Ibaadat Karne Ka Sawaab Ek Hi Raat Me Ataa Kar Raha Hai.Is Raat Mein Masjid Me Qayam Kare, Zikr-E-Ilahi Kare, Qur’an Padhe, Durood-O-Salaam Padhe Aur Du’a Kare, ALLAH Se Maafi Maange Aur Maghfirat Ki Talab Kare.
  • Laylatul Qadr Ramzan Ke Aakhri Dus Raaton Ki Taak Raato Mein Se Kisi Ek Raat Mein Hoti Hai.(21st 23rd 25th 27th Ya Aakhri Raat 29th)Nabi-E-Kareem (Sallallaahu Alayhi Wasallam) Ne Farmaya:"Shabe Qadr Ko Ramzan Ki Aakhri Ashre Ki Taak Raaton Mein Dhoondo”(Sahih Al-Bukhari, Jild 3, Kitaab Fazail Laylatul Qadr, Hadith No. 2017)"Laylat al-Qadr Ko, 21, 23, 25, 27 Aur 29 Ki Raaton Mein Dhoondo” -(Sunan At-Tirmidhi, Kitaab As Saum, Hadith No. 794)

Note:Yaad Rahe Nabi-E-Kareem (Sallallaahu Alayhi Wasallam) Ka Farmaan Hai Ke,“Laylat al-Qadr Ko, 21, 23, 25, 27 Aur 29 Ki Raaton Mein Dhoondo”Laylatul Qadr In 5 Raaton Mein Se Koi Ek Raat Hai.
[ads-post]
👉 Ulma-E-Ahle Sunnat Ka Ye Farman HaiKi Shabe Qadr 27 Ki Taak Raat Hai. Kyunki Shabe Qadr Ki Alamaat Jo Hadees Me Hai Wo Isi Raat Me Dekhi Jaati Hai.Hame Tamaam Taak Rato Me IbadateKarni Chahiye. Kyunki Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ramzan Ke Aakhri 10 Dino Me Sabse Jyada Ibadat Karte.Lihaza Hame 27vi Shab Ko To Qayam (Shab Bedari) Karna Hi Hai Sath Me 21, 23, 25 Aur 29 Me Bhi Shab Bedari Karni Chahiye Ki Hame Sawab Mile. Aur ALLAH Hamare Gunaho Ko Muaf Karde Aur Hamari Magfirat Farmaye.

  • Nabi-E-Kareem (Sallallaahu Alayhi Wasallam) Ne Farmaya,“Jo Koi Laylatul Qadr Mein Imaan Aur Ehtesaab Ke Saath Namaaz Mein Khada Rahe Uske Pichle Saare Gunaah Maaf Kar Diye Jaate Hai.”
    -(Sahih Al Bukhari, Jild 3, Kitaab Fazail Laylatul Qadr, Hadith No. 2014)
  • Laylatul Qadr Ki Dua: Hazrate Ayesha Siddiqa Radiallahu Anha Ne Muhammad (Sallallaahu Alayhi Wasallam) Se Poocha,“Agar Muhje Maloom Hojaye Ke Shab-E-Qadr Kaunsi Raat Hai To Kya Du’a Karu ?Sarkare Do Aalam (Sallallaahu Alayhi Wasallam) Ne Farmaya,“Allahumma innak Afuwwun Tuhibbul Afwa Wa Fa'afu Anni ”“Aye ALLAH, Tu Maaf Karne Wala Hai, Aur Maaf Karne Ko Pasand Karta Hai, Lehaza Mujhe Maaf Kar De.”
    -(Jami`At Tirmidhi, Kitaab Ad Dua, Hadith 3513)
  • Farishte Is Raat Mein Ahle Imaan Ko Salaam Arz Karte Hai.- (Tafseer Ibn Kathir)

Shab e Qadr Mein Is Tarah Ibadat Kare: 

  1. Quran-E-Kareem Ki Tilawat Kare.
  2. Jinki Qaza Namaze Baki Hai Wo Qazaye Umari Ada Kare. Jinke Jimme Koi Namaze Qaza Nahi Hai Wo Nawafil Padhe.
  3. Jab Masjid Me Dakhil Ho To Is Tarah Niyat Karke Phir Dakhil Ho."Nawaytu Sunnatul Etikkaf" Jab Tak Aap Masjid Me Rahenge Insha ALLAHAapke Naam-E-Aamal Me Farishte Nekiya Likhte Rahenge. Islami Behene Ghar Me Ek Jagah Mukarrar Karle Ibadat Ke Liye Aur Niyat Kar Us JagahIbadat Kare.
  4. Durood Sharif Kasrat Se Padhe.
  5. Shabe Qadr Ki Dua Khaas Hai Ye Bhi Kasrat Se Padhe:“Allahumma innak Afuwwun Tuhibbul Afwa Wa Fa'afu Anni.”
  6. Ba Kasrat Ye Kalme Padhe:“SubhanAllahi Wabihamdihi SubhanAllahil Azeem” Ye Kalme ALLAH Rabbul Aalamin Ko Behad Pasand Hai. Hadeese Pak Me Hai Ke Ye Kalme Mizan Par Wazani Honge. Roze Qayamat Padhnewale KeNama-E-Amaal Me Nekiyon Ke Pahad Honge. Insha ALLAH.
  7. 21 Martaba Surah Qadr Ki Tilawat Kare. Is Raat Me Sure Qadr Ki Tilawat Ki Badi Fazilate Hai.
  8. 21 Martaba Surah Ikhlas Ki Tilawat Kare.
  9. Astagfar Ki Tasbeeh Padhe.
  10. Aayat-E-Kareema Ki Tasbeeh Padhe.Apni Anmol Duao Ke Chand Alfaz Is Nachiz Ke Naam Karna Na Bhoole.

    Shab-E-Qadr Me Qayam Karne Ka Azr-O-Sawab:

    • Nabi-E-Kareem (Sallallaahu Alayhi Wasallam) Ne Farmaya,“Jo Koi Laylatul Qadr Mein Imaan Aur Ehtesaab Ke Saath Namaaz Mein Khada Rahe Uske Pichle Saare Gunaah Maaf Kar Diye Jaate Hai.”
      - (Sahih Al Bukhari, Jild 3, Kitaab Fazail Laylatul Qadr, Hadith No. 2014)
    • Aur Wah Jo Raat Qatte Hai Apne Rab Ke Liye Qayaam Me Aur Wah Jo Arz Karte Hai Aye Hamare Rab ! Hamse Pherde Jahannam Ka Azaab. Beshaq !Uska Azaab Gale Ka Gul Hai"
      - (Surah Al Furkan, Para 19, Aayat 64, Tarzuma: Kanzul Imaan)
    • "Beshaq ! ALLAH Use Nahi Bakshta Ki Uske Sath Kufr Kiya Jaye Aur Kufr Se Niche Jo Kuch Hai Jise Chahe Maaf Farma Deta Hai. Aur Jisne Khuda Ka Shariq Thehraya Usne Bade Gunah Ka Tufaan Bandha."
      - (Surah An Nisa, Para 5, Aayat 48, Tarzuma: Kanzul Imaan)

    About News & updates

    This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.

    0 Comments:

    Post a Comment